Monday, March 17, 2008
AAJ KI KHABAR
Aaj raat kuch jaanna chahthi hoon
Koi bhi khabar, kuch bhi
Koi hass gaya, koi khel gaya
Koi mar gaya, koi mil gaya
Koi kahani apnana chahthi hoon
Koi bhi khabar, kuch bhi
Kissi ko salaam, kissi ko dua
Apnoon ko choro, ghairoon ki salah
Taazi nahi, puraani chahthi hoon
Koi bhi khabar, kuch bhi
Jisko sunn kar naya sa lagay
Jisko jaan kar munn ye kahay
Khud ko pehchanna chahthi hoon
Sunnaa do khabar kuch bhi
Jaisay saza sunai jaati hay
Bin bulaye mehmaan ki tarah
Apnay aangan mein bitthana chahthi hoon
Aaj lay aao khabar kuch bhi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment