Tuesday, March 18, 2008

NAQIS


Kaun kehta hay
Kay tum bewafa niklay
Dukh tho meri wafa ka hay
Jiskay kayee janazay niklay

Meri wafa ka surkh kuffan
Jissay shauq se tumnay bheja tha
Uss kuffan kay guz bhi
Chaar haath kam niklay

Qismat ki baat hay
Wafa ya bewafai ki nahi
Meri naqis mohabbat kay
Tum haqdaar na niklay

Agar dhoonda jaye
Nuqs tho khuda mein bhi hay
Bewafai ko khuda bana kay
Hum hee bay-emaan niklay

No comments: