Wednesday, February 13, 2008

CHORI


Churaya na ja sakay
Tha kuch aisa mera kahazana
Kis pay ilzaam lagaoon
Kay chori hui hay

Ishq kay nashay mein
Kuch aisay andhay huay
Kay nazroon kay saamnay hee
Chori hui hay

Unn naram hatheliyon mein
Kuch aisay naachtay gaye
Kay jhoomtay mein hee
Chori hui hay

Sazaa kay naam pay
Kasoor-waar jo thehray
Iss qaid mein baithay hee
Chori hui hay

Jin lafzon kay pul pay
Bay-lagaam aagay barhay
Unn lafzon ki bhi
Chori hui hay

Jis zameen pe kharay
Jis aasmaan kay neechay
Unnhee kay beech
Chori hui hay

Meri in rugon mein
Dortay huay khoon ki
Meray hee wajood se
Chori hui hay

Meray iss seenay mein
Kuch bhataktthi hui
Aakhri saanson ki
Chori hui hay

Meray iss munn mein
Meray hee khuda pe
Meray hee emaan ki
Chori hui hay

Iss bay-maani ishq mein
Marnay se pehlay
Meri hee rooh ki
Chori hui hay

Iss chhanni jaisay dil ki
Khotay bay-qeemat dil ki
Neelaami par hee
Chori hui hay

Teri hee khidmat mein
Paysh kartay huay
Meri hee jaan ki
Chori hui hay

Kia kia bataoon
Kaisay loota hay mujhko
Meray bayaan ki bhi
Chori hui hay

Teray taaza lahoo mein
Laga-tar behtay
Meray hee naam ki
Chori hui hay

No comments: