Thursday, February 14, 2008

JASHAN


Aao hassein phir aik baar
Bhool kay saaray gham
Mein karoon phool ka singhaar
Aur ghom jayein hum

Aao chalein unn rahoon par
Jahan dil tha narum
Tum thaamo mera haath
Aur na chorein tumko hum

Aao bethein uss baagh mein
Dhoop ko karein jawaan
Chund lamhoon ki fursat mein
Amar jee lein hum

Amar aik dhoka hay
Uss se nazar chura kay
La-pata ghariyon ko
Dhoka de dein hum

Aaooo naaa... aao chalein
Samandar kay uss kinaray
Mein, tum aur poora chaand
Aur chaandni mein doobay hum

Aao karein yaqeen
Aur karein naz
Tum meri nazron pe
Teray lafzon pe hum

Aao bhool jayein ye
Chaar dewaari, din aur raat
Hum kahein tho shaam ho
Aur din bulayein hum

Aaa jao jaan.... jashan manayein
Lamhoon ko karein jawaan
Tum palkon se sharaab do
Aur peetay hee jayein hum

No comments: