Wednesday, February 13, 2008

MERI QEEMAT


Meri bahoon ki garmi ki
Meray chehray ki narmi ki
Qeemat....do aanay

Meray baalon ko lehranay ki
Unki khushboo churanay ki
Qeemat....do aanay

Meray ghatia se dil ki
Usmein behtay bayhaya lahoo ki
Qeemat....do aanay

Meray haathon ko thaamnay ki
Unko gumrah karnay ki
Qeemat....do aanay

Meri nazuk si kamar ki
Usmein gehray kumaan ki
Qeemat....do aanay

Inn aankhon ko choomnay ki
Ansoowon kay qatar ki
Qeemat....do aanay

Inn hoonton ko choomnay ki
Unki hassi churanay ki
Qeemat....do aanay

Aasmaan pe lay jakay
Khaak mein milanay ki
Qeemat......................koi na jaanay

No comments: