Saturday, February 23, 2008

MERA NAYA ISHQ


Takleef ka ye alam
Kay aadat ho chulli hay
Jab bhi dard kum ho
Takleef ziada hoti hay

Kaheen nahi jayegi ye
Ghar bana bethi hay
Meray dil kay har konay mein
Takleef hee tho behti hay

Dilasoon se jeet gayi
Waqt se takrai hay
Marnay nahi degi
Yehi soch kar ayi hay

Meri yaaddaasht pe
Neel ban kay chaayi hay
Jab bhi tumko yaad karoon
Takleef hee paayi hay

Din ho ya raat
Andhera lay kar ayi hay
Meray har dard ki dawa
Rub nay takleef banai hay

Kioon na isko apnaa loon
Dost apna bana loon
Jab saath saath hee rehna ho
Tho galay se laga loon

Itni saari mohabbat
Jo zaya ho jaye
Kioon na takleef se hee
Ishq kar liya jaye

Na degi dhoka
Na degi ghum
Takleef tho takleef hay
Uss se ishq kareingay hum

Tum jaisay nahi...
Ishq kay maani jaantay hein hum
Takleef khud tumhein bataeygi
Ussay kaisay chahthay hein hum

No comments: