Sunday, January 20, 2008

AURAT KI MATTI....MERI MATTI


Aurat se mohabbat
Aik hunurr samjha jata hay
Aurat ki matti mein
Kuch aur paya jata hay

Laakh lagao tum, falsafon ki qataar
Iss matti ka falsafa, tumko nahi aata hay

Jo 'na' ko tum 'haan' kaho
Uss say khush ho jaati hay
Jo baat uski maan lo
Dilpe ussay sajaati hay

Jis naz ko utha kar, dil uska jeeta jaye
Ussi ko uthanay se, jaan tumhaari jaati hay

Narmi se tum kaam lo
Sab kuch maan jaati hay
Khushi uski jaan lo
Woh mowm ban jaati hay

Zubaan mein sakhti jab jab tum dikhlaogay
Aurat aakhir aurat hay, zubaan se darr jaati hay

Taaray aur sitaray
Sab dekhna chahthi hay
Duur hee sahi
Sirf roshni se jee jaati hay

Dunya se larti hui, Jisko tumnay balaa jana
Kabhi jhaank kay tho dekhtay, na parta aazmana

Naap tol kia karogay
Kay kaun kitna qaabil hay
Bhala tarazaoo mein bhi koi
Aurat ki whob hasil hay?

Agar kheltay aur tortay, kuch guriyon kay haath
Aaj tum insaaf kartay, Aurat ki matti kay saath


pathetic....this is why i lived with no expectations

No comments: