Monday, January 21, 2008

MERI GAWAHI


Yaqeen hay mujhko
Kay mohabbat ki thi
Usnay bhi iqrar ki
Kuch gharriyan di thi

Chupptay raho beshak
Tum iss zamaanay se
Hum tho jaantay hein.....
Ye sharaab humnay pi thi

Kaghaz pe siyahee
Koi manay nahi rakhti
Zubaan ki karwahat
Paymana nahi lagti

Kuch bhi kaho
Kehtay raho
In aankhon nay un aankhon se
Gawahi li thi

.........

Kia meetha sa maza hay
Kia ajab sa nasha hay
In lafzon nay pehlay
Aisi taqat na di thi.....

No comments: