Friday, January 18, 2008

MERI KHUSHIAN


Meri hur ik baat mein baat
milanay paye ho

Chaaron mausam kay rang
tor kay laye ho

Meray khaabon ki sub taabeerain
dikhla paye ho

Meri saari khushion mein shirkat karnay
.....tum.........aye ho

Kaheen meray har rang mein dhaltay huay
apnay rang bhool na jao

Ye samandar bohawwwt gehra hay
kaheen..... doob na jao

Tumhein bachanay kay liay
khud doob gayi hoon

Tumhein aazmatay huay
khud toot gayi hoon

Woh dopehrein, woh shaamein..... meri khushian
un khaabon se aitebaar utha chuki hoon

Tumhaari muskurahat kay liay
sab kuch dao pe laga chuki hoon

Tumhaari khushion ko meri umar lag jaye
is judai ka maqsad tumnay na jana

Tumhaari khushian hee meri khushian hein
kaheen ye ehsaan bhool na jana

No comments: