Friday, January 18, 2008

MERI AADATEIN


Meri Kuch aadatein hein
jinse me na-waqif hoon

Meri kuch tasveerain hein
jinse mein na-aashna hoon

Dost kehtay hein, ye tum nahi
koi aur bolta hay

Aaina kehta hay, ye nigahein
uski apna chuki hoon

Meray mazaaq ka andaaz
kuch uskay jaisa hay

Mera logon se lihaaz
ka mayaar bhi waisa hay

Meri mojoodgi mein kummi
uski mojoodgi ki hay

Meri baatoon mein awaaz ka
....ye naya sur kaisa hay?

Nawaalon se lekur Huliye tak
apni pasand ki aadat nahi rahi

Ye sab shauq aur khasta jawaani
dikhanay ki zaroorat nahi rahi

Kia karoon kia na karoon
ab kaun mujhko tokay ga

Jab ander bahar khaali hoon
zindagi... woh soorat nahi rahi

Ye andaaz ab meray apnay hein
Na inko ghair banaongi

Ye alfaaz ab meray apnay hein
khud inko bol paoongi

Jub bhi apnay wajood ko
tumharay naam se tokoongi

Tumhaari aadaton kay naqsh par
mohar apni lagaoongi

No comments: